Wednesday, 25 January 2012

In Search



Lamho me koi fasana khojta hun
Haathon se fisla  wo jamana khojta hun
Wo khula-khula sa aakash
wo mausam suhana khojta hun
is zindgi ke sagar me
bas ek tinke ka sahara khojta hun
raat dhalne ka naam nahi leti
kahan gaya wo ujala khojta hun
ruk gaya hun chorahe pe
chalu kis taraf koi ishara khojta hun
halatho ke tufan se
 chupne ko ek ashiyana khojta hun
Jindgi ki talash karte karte thak gaya hun
Abb to maut ka bahana khojta hun

Thursday, 12 January 2012

Beyond Horizon



Kshitij ke kinare
Nange paon chalte hue
Aksar maine
Jindgi ko nihara hain


Yahin maine kawitaon ko socha
Lafzo main piroya
Kuch nishchal ghumte
khwabo ko  disha di



Meri kawitayein
Mere alfazo ki jarurat hain
Inke bina main kya hun,
Kuch bhi to nahi



Jab bhi inko padta hun
Lagta hain samne aks hain
Kshitij ke bina
Mera wajood hi kya hain



Kshitij meri zarurat hain
Badlo se kaho
Dur jaye
Jine de mujhe
 
Kshitiz : Horizon

Saturday, 7 January 2012

Desire for Ecstacy




Ajj khul ke hass lu
Dil ki hain yahin tammana
Us mithi si hansi me
Sukun hain kai palo ka
Us mithi si hansi me
 kayi khawab hain chupe
Ajj khul ke hans lu
Dil ki hain yahi tammanna

Ajj dekhe ek swapn naya
Jinme Nayi ummide ho
Choti choti si jhil-mil khwahishe
Jinme apno ki khooshiya ho
Ajj khul ke hans lu
Dil ki hain yahi tammanna

Kuch kehte hue kuch sunte hue
Inn khwabo ko ajj apna banalu
Ajj basalu unn lamho ko aankho main
Jo hoton ko muskan de
Ajj nikal du unn bato ko unn yadoon ko
jo dil ko tadpati hain
Ajj khul ke hans lu
Dil ki hain yahi tammanna.









Friday, 6 January 2012

Roshni ki Ummed Main



Raat ke andhere se haar kar chala tha main
Socha tha raah main roshni to hogi
yuhin bhagte hue sadko ki khank chante hue
Sapno ki talash me raaton  ko jagte hue
Raat ke andhere se haar kar chala tha main
Socha tha  Dundhla sa kahi savera to milega
Sab raaho ka ant ho gaya
Abb tak gum wo savera hain
Raat ke andhere se haar kar chala tha main
Socha tha Koi to kiran badlo se ubhri to milegi
Raat bharne ko aayi hain magar intzar khatm nahi hua
Shayad meri thaki aankhon ko kabhi sukun nahi aayega
Raat ke andhere se haar kar chala hun main
Par abb roshni ki ummed bhi kho chukki hain.