Tuesday, 27 March 2012

Race of Life



Jindgi ki raftaar ko main kabhi samaj hi nahi paya
Isilie shayad saath iske kabhi chal na paya
kabhi itna aage nikal jata hun ki
saaya bhi saath nahi de pata
kabhi itna piche reh jata hun ki
chillane par bhi meri aawaz iss tak nahi pahuchti.
Phir kabhi sochta hun kyun me hi koshish karu ise samajne ki
Kyun ye mujhe nahi samajti kabhi .
Kyun?

Saturday, 10 March 2012

Rahi


 OO Rahi

kadmo ko aage bada jara
chehre pe muskurahat la jara
gamo ka daman chod ke
khusiyon se haath mila zara

mana ki jo hua hain
tune nahi tha chaha
lekin jahan me kiske
chahne se kuch hua hain

kismat se chod ladna
usko maan le tu
kahan tujhe hain jana
behtar hain jaan le tu

abhi se haar na tu
ladai aur bhi hain
jindgi ki raah main
kathinai aur bhi hain

abhi to jindgi ke
kuch hi rang he dekhe
inn karwato se jindgi ka
wasta bada hain

choti choti khushiyon ko
sametna shuru kar
bade dukh ko dhakna
aasan ye bada hain

aankon ko apni band kar
khwab naye dekh tu
khich nahi dor  ko
tamannnao ki patang uda zara

soch ki disha badal
koshish kar aur samhal
bhul ja atit ko
jeena ho jaye saral

chahto ko apni tu
armanon ke pankh laga
jeena aa jaega khud
bas tu ji Zara

Sunday, 4 March 2012

Quiescent



Tammanna ne mere
Honton pe ungali
Rakh kar
Jaise hi kahan
Shhhhh………
Mere sare  Khwab
Thitak kar
reh gaye

Khamoshiyan yun mere
Labo par
Aa kar he
tehri
mere sare alfaz
 bhikar kar
 reh gaye

Socha tha sham se
Pehle ghar 
laut jaenge
Par in rasto me
Bhatak kar
Reh gaye

ye to nahi tha maine
chalna nahi chaha
par ye
 kambakht
pair  chipak kar
reh gaye.
.....