Yun to ye sagar mere kabu main hain
Par ye boond hain jo sambali nahi jati
Yun to maine jindgi akele kaati hain
Par ye lamha he jo gujara nahi jata
Yun to gamo ka pahad mujse hain gujra
Par ye choti si tees hain jo mitai nahi jati
Yun to dekha hain jamane ke dilo main
Par iss aks ka nishana saha nahi jata
Yun to rahon par abb bhi kabu hain
Par chalne ki himmat jutai nahi jati
Yun to shabdo ka khajana hain mere pass
Par dil ki baat samjhai nahi jati.
No comments:
Post a Comment