Tuesday, 20 August 2013

Rah Meri Wo


Ungali meri chod chale gayi 
ruthi ruthi ek rah meri wo


kitni suni thi, mujhse milne se pehle
ajj  naye musafir mile to
mujhse hi ji churaye rah meri wo


sare patjad ke patte hataye
sare barish ke gadde barwaye
usko apna humsafar samjha
abb jab manzil ki aur badne ki baari aayi 
to mujhe piche chod gyi rah meri wo


galti meri hi thi shayad
isiliye to mujhe azmaye rah meri wo



jindagi bhar isi chaurahe par bhaithunga
chahe kabhi manzil par na pahuchu
par abb laut ke uss rah nahi jaunga
abb chahe kitna hi manaye rah meri wo 

1 comment: